POEM

MAT ROKO TUM AAJ MUJHE

(A prayer to Aane Arunachal)
Bage Kamsi
Amma yeh lo chaadar,
Dhak le apna shareer
Nagna ho gayi ho tum ab
Kehti hai yeh duniya sab,
Humne tujhe rulaya
Humne tujhe thukraya
Mat roko tum aaj mujhe
Mat toko tum aaj mujhe.

Nas phat jaengi tumhari
Seh seh kar yeh zulm hamari
Honth tere sii diye hum
Bazuye tere baandh diye hum
Sar teri mundhwaya hum
Charitraheen tujhe banaya hum
Zinda hokar bhi mar gayi ho tum
Dam ghut kar mar jayogi tum
Mat roko tum aaj mujhe
Mat toko tum aaj mujhe.

Kabhi kehlate the tujhe khushiyo ki bagiya
Ab ho gayi tum murdo ki nagariya
Netraheen ho gaye sab bete tumhare
Bezubaan ho gayi sab betiya tumhari
Sharm ki chadar odh liye sab
Pher liye muh apne sab
Mat roko tum aaj mujhe
Mat toko tum aaj mujhe.

Darna nahi oh meri Aane Arunachal
Haarna nahi meri Aane Arunachal
Aaj bhi chumte hai tere sar ko
Surya devta ki pehli paavan kirne
Aaj bhi chumte hai teri pero ko
Brahmaputra ki paavan lehre
Barf ki chadar odhe Himalaya
Karti hai hifazat aaj bhi tumhari
Mat roko tum aaj mujhe
Mat toko tum aaj mujhe.